How to edit Videos In Computer, Computer me video kaise Edit Kare full Information Ain Hindi | Techy Duggu
How to edit video in Computer Best application Full Information In Hindi
Dosto agar aap khud aapne laptop computer par aapna kisi bhi video ko edit karna chate ho to is post ko follow karke aap bahut asan tarike se kisi bhi video ko edit karke bahut acche se effect dal kar video ko sundar bana sakte ho. Video edit karna koi muskil kam nahi hai, lekin agar hum nahi jante ki video ko kaise Edit karte hai tab ye bahut muskil kam ho jata hai.
Aagar aap ekbar sikh jate ho ki video edit kaise karte hai tab aapke liye bhi ye editing bahut easy kaam ho jayega. Koi bhi video ko edit karne ke liye ek software ki jarurat hoti hai internet par aise bahut si software milte hai jissko istemal karke aap aapne video ko edit kar sakte ho.
Video editing karne ke liye sabse accha software hai Adobe after effect lekin isko use karna thoda muskil hai, agar is software ko use karna chahate ho to aapko pahle adobe after effects sikhna hoga nahi to aap isko use nahi kar sakte, Lekin agar aap easy tarike se video ko edit karna chahate ho to adobe ke bina bhi bahut si software hai jisko istemal karke aap apne laptop computer par video editing kar sakte ho video par effect dal sakte ho, songs dalte ho, text dal sakte. To video edit karne ke liye aaj ham jo software use karne wale hai iska naam hai Wondershare Video Editor to chahiye dkehte hai isko use karke video edit kaise karte hai.
Aabhi Video Editing room khul jayega aapke same, is option se video ko edit karna hain niche mene 1,2,3 karke arrow icon se dikaya hai aap dekh lijiye kaise video edit karte hai.
Import button par click karke Video, audio, photo select kariye.
Vdieo option par Video file ya Photo ko drag karke nijiye.
Music option par aap mp3 songe, music add kar sakte ho.
Upar Text option se video par koibhi Text add kar sakte ho.
Effect option se aap Video par Effect add kar sakte ho.
PIP option se aap video par PIP effect add kar sakte ho.
Transition option se aap video par acche se style ke Transition effect de sakte hai.
Vdieo ke Start ya End par Intro dena chahati ho to is option ko istemal karke wo kar sakte ho.
Sound is option par aapko bohut sare background music milga jis ko aapne video par use kar sakte ho.
Split Screen is option ko use karke video ko Split kar sakte ho.
Ya bhi Split hain iske matlab aap video ke kisi be part ko cut kar sakte ho.
Export option se aap video ko Save Kar sakte ho.
Dosto upar ke step ko follow karke aap koibhi video ko edit kar sakte ho. Agara aap koibhi video ko edit karke save karna chahate ho to uapr se 12 No. Step ko follow kar sakte ho ya fir aap Export button par click karke Sab kuch thik thak karke Export button par click karke Video ko Save Kar sakte ho.
Aise hi aur Articles ke liye Main Page par jaye Aur bahut sare intrestion aur Technical se Jude articles Ko padhe
Comments
Post a Comment